Internet Se Paise Kaise Kamaye Hindi me : Kyahai.net

Internet se Paise Kaise kamaye : Ajkal har koi internet se paise kamana chahta hai. Halanki internet se paisa kamana jitna asan hai utna hi mushkil bhi. Yadi aapko internet ke vishay me acchi jankari hai to internet se paise kamana aasan hai. Aur yadi aap naye hai to aapke liye kuch mushkil bhi ho sakta hai. To Aaj hum is mushkil ko aapke liye aasan kar dete hai.

Internet Se Paise Kaise Kamaye Hindi tutorial :

Vaise to internet se paise kamane ke kai tarike hai. Lekin mai aapko sabse solid tarike ke bare me bataunga jis ke madhyam se aap ghar baithe acchi kamayi kar sakte hai wo bhi bina investment ke.

  • Sabse pahle aapko computer ka basic knowledge hona chahiye.
  • Apke andar dhairya (patience) hona chaiye.
  • Internet pe padhne ki adat honi chahiye.
  • Internet Connection hona chahiye.

Agar ye upar di gayi chije aapke pas he toh, me aapko kuch aise tips bataunga jisse aap 2 se 3 mahine ke andar me 2000 se 5000 rupaye mahine kama sakte ho. Par ha, uske liye aapko 2-3 mahine tak ka dhiraj (patience) rakhna hoga. Apki earning apki site ke traffic pe depend karegi. Jitna jyada traffic utni jyada earning.

Internet se Paise Kaise kamaye First Step : Sabse pahle aapko 1 Email account ki awashyakta hogi. Jo ki aap www.gmail.com par ja ke free me bana sakte hai. Aur haa gmail par hi banana kyunki aage aapko gmail ke account ki awashyakta padegi.

Internet se Paise Kaise kamaye Second Step : Apke pass ek website honi chahiye jis pe aap bloging kar sake. Waise to wordpress pe bhi aap bloging kar sakte hai magar uske liye aapko paise kharch karne padenge. To isliye hum sabse pahle www.blogger.com pe jayenge jaha hum free me apni  bloging site banayenge. Aiye kuch steps ko follow karte hain –

  • Blogger.com pe jaye.
  • Apni banayi hui gmail id se login kare.
  • zong internet package daily, weekly, monthly bundles.

(Niche di Image me dekhe)

blogger se paise kaise banate hai

Login karne ke baad aap apni blogging website ka name dale ex. kyahai.blogspot.com aur apki bloging site taiyar.

Janiye: blog kya hai- blogging kaise karte hain.

Website Content:
Ab aapko apni site ke liye content ki awshyakta hogi. Iske liye aap apni skill ke anusar blogs likh sakte hai. Blogs aise likhne chahiye jo logon ki jarurato ko puri karta ho aur log un vishyon ko google par search karte ho. Jitne jyada blogs aapki site par honge utne hi jyada log aapki site ko kholenge. Aur jitne jyada log visit karenge utni hi jyada earning hogi. To topic selective hone chahiye.

Advertisement: Apki site par ads lagane ke liye apki site par kam se kam 15-20 blogs hone chahiye aur site kam se kam 1-2  mahine purani honi chahiye aur kam se kam 500 user daily ke hone chahiye.

Google Adsense: Adsense har blogger ka sapna hota hai. Adsense  ke liye aapki site kam se kam 6 mahine purani honi chahiye. Ab adsense hindi sites ko bhi approve karta hai. Adsense cpm based program hai “cost per 1000 impressions.”

Ex. 1000 impression par  aap 2 se $5 ki earning kar sakte hai.

Note- Upar di adsense ki earning statement accourate nahi ho sakti hai, kyunki ye CPM base pe depend karta hai.

Bidvertiser.com: Bidvertiser ek cpc (cost per click) program hai jo 1 click ke $.01 deta hai.

Chitika: Aap chahe to chitika bhi use kar sate hai. Chitika CPC aur CPM based program hai. Maine bahut pahle chitika use kiya tha aur meri earning daily $3-5 ke aas pasa thi.

Increse Site Traffic:

Site ka traffic badhane ke liye site content usefull hona chahiye aur jyada se jyada blogs apki site pe hone chahiye. Website ka trafic badhane ke apko SEO yani search engine optimization karna hoga. Matlab ki site ko Google, Bing, Ask jaise search engine me index karni padega.

To fir der kis baat ki Aaj se iski shuruwat karte hai. Aasha karta hun aapko mera ye hindi blog pasand aayenga. Ise Apne doston ke sath share kare. Aur apne comments de.

6 COMMENTS

  1. ये blog उन दोस्तों के लिए है जिन्हें english कम आती है | आशा करता हूँ आप लोगो को मेरा प्रयास अच्छा लगेगा|

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here